Friday, November 22, 2019

Lesson - 15 - Hazrat Mohammad Mustafa (s.a.w.s.) ki mukhtasar zindagi (Part 1/6)

BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM

ISLAMIC DARS FOR KIDS

Lesson - 15


------------------------------------------------------------
Topic:  Hazrat Mohammad Mustafa (s.a.w.s.) ki mukhtasar zindagi   (Part 1/6)
-----------------------------------------------------------



Salamun alaikum baccho.....





 Aaj se thode dino tak inshaallah ham apne aakhri paygambar Hazrat Mohammad Mustafa (s.a.w.s.) ke zindagi ke baare me jaankaari  haasil karege.....

Ambiya:

Apne paygambar Hazrat Mohammad Mustafa (s.a.w.s.) ko Allah (s.w.t.) ne mazhabe islam k liye apna paygambar banakar bheja tha.

Islam ke maannewalo ko musalman kehte hai.

Aap Hazrat par paygambar ka silsila bhi khatm hota hai isliye aapko khaatemun-nabiyyin bhi kehte hai.

Aap tamam gunaaho se paak the aur tamam khubiyan, saari baate aap Hazrat me paayi jaati hai.

Allah ne aapko Quran jaisi behtareen kitaab dekar bheja.  Quran Allah ka kalaam hai, Allah ka message hai.

Khud aap aur aapke Ahlebait a.s. bolte chalte Quran hai aur wo hame zindagi jeene ka saccha raasta batate hai.

Duniya me koi bhi bina (without) hidayat na rahe isliye Allah ne duniya me bheje hue sabse pehle insaan Hazrat Adam a.s. ko paygambar banakar bheja.

Aur aakhri paygambar Hazrat Mohammad Mustafa (s.a.w.s.) hai.

Saare paygambaro ka mazhab ek tha, mazhabe Islam......

Saare paygamabro ne ek hi message diya hai ke Allah ek hai ...aur uske alawa koi khuda nahi....aur ek Allah ki hi ibadat karni chahiye....

------------------------------------------------------------
Paygambaro me ulool azm paygambar :
-----------------------------------------------------------
1. Hazrat Nuh a.s.
2. Hazrat Ibrahim a.s.
3. Hazrat Moosa a.s.
4. Hazrat Isa a.s.
5. Hazrat  Mohammad Mustafa (s.a.w.s.)



In paanch paygambaro ko ulool azm kehte hai, is liye ke in paygambaro ka darja dusre paygambaro se uncha hai. Aur in ulool azm me bhi aapne paygambar s.a.w.s. ka darja sabse buland hai.


Hazrat  Mohammad Mustafa (s.a.w.s.) ke laqab (title) :

Aapke bohot saare laqab hai...

1. Injeel me aapko Ahmad kaha gaya hai.

2. Qurane majeed me aapko kahin yaseen kahin          taa-haa, kahin mudassir to kahin muzzammil          kaha gaya hai.

3. Aapko basheer yaani (jaanat ki ) khush kahbri        denewale aur nazeer yaani (jahannum se )              daraanewala bhi kaha jata hai.

4. Aapko khud aapne dushman ameen aur saadiq        kehte the... ameen yaani amaanatdaar , saadiq        yaani saccha.

5. Aur aapko rehmatullil aalameen aur sayyedul      mursaleen bhi kaha jata hai. 

------------------------------------------------------------
To be continued-  Inshaallah
------------------------------------------------------------

    Wassalam.



No comments:

Post a Comment