ISLAMIC DARS FOR KIDS
Date 19/11/2019
Lesson - 25
------------------------------------------------------------
Topic: ISLAMIC MORAL STORY - MISWAAK- (TOOTH BRUSH KARNA)

Beta aaaa............... karo..... Doctor ne kahaa..
Nazeer ne aaaa.............. karke apna mooh khola...
Are Nazeer tumhaare daant to zyaada kharaab he.... tum brush nahi karte..?
Karta hun doctor saahab lekin kabhi... kabhi.......
Aisaa nahin chalega Beta... Brush to rozanaa karna chaahiye aur agar ho sake to din me do baar bhi karnaa chahiye...!
Tumhaare daanto me Plaque ho gayaa he beta....
Plaque? Ye kya hota hai Doctor?
Plaque yaani hum jo food khaate haiN jaise ke doodh, biscuit, roti, chocolate yaa kuch bhi.... woh khaa kar daant saaf na karein aur uska thoda hissa daanto par jamaa huva rah jaata hai...
phir ahistaa ahista woh daaNt me kharaabi paidaa karta hain... us kharaabi ko plaque kahete hain.
To plaque se kya hota hai doctor?
Plaque aahista aahista daantoon ki jad men, yaani k root me bhi pahoch sakta hai, aur daant ko support karne wali haddi yaani bones ko bhi kharaab kar sakta hai....
Agar aisaa huvaa to daant bahot kam umr men bhi gir sakte haiN...!
Oh.... itna bolke.... Nazeer ko tension ho gayi.. woh sochne lagaa..... mere daant me bhi plaque hai, knaheen mere daant bhi girne to nahi lagenge naa....
Doctor samajh gaye ke Nazeer kya soch rahaa he.... Tab doctor ne kahaa.... dekho beta tumhare daant itne bhi kharaab nahi huve...
Lekin haa......... ab roz brush nahin karonge to daant zyaada kharaab hone lagenge
Aur khuda na kare zyaada kharaab huve to phir.........
Daant ke root me kharaabi ho jaaye to bahot pareshaani hogi... infection bhi ho sakta he... daant khinch ke nikaalna bhi pad sakta hai... injection bhi lagvana pad sakta hai.....
Nazeer sochne lagaa... use Ammi ki bataaye huyee baaten yaad aane lagee, maktab ke teacher ki bataaye huyee baaten yaad aane lagee...
Woh sochne lagaa...
Maa to roz subah kehti hain beta brush kar lo... beta sone se pehle brush kar lena.....
Maktab ke teacher ki baat bhi yaad aane lagee.... teacher kayin martaba kehte hain ke Miswaak ke kitne saare faayde hain....
Ek baar to teacher ne test bhi lee thi jis men miswaak ke favaayed ke baare men hadeesen likhni thi....
Nazeer ko ek ek karke hadeesen yaad aane lagee....!!!
Miswaak karne se aankho ki binaayee / roshni badhti hai... (1)
Miswaak kar ke padhi huyee 2 rakaat Namaaz bagair miswaak ke padhi huyee 70 rakaat namaz se behtar hain... Afzal hai.... (2)
Dusri bhi ek hadees Jis meN Rasule khuda s.a.w. ne Hazarat Ali a.s. ko miswaak ke 12 favaayed bataayeN haiN.... (3)
Usme se Nazeer ko do - chaar faayde yaad aa gaye.....
Ke miswaak se mooh saaf sutharaa rehtaa hai....
Daant white aur saaf - yaani ke clean rehte hain.....
Miswaak karne se Allah khush rehta hai....
Daant ke root yaani jaden mazboot hoti hain...
Aur miswaak se yaad daasht - memory power men izaafa hota .!
Jaise ahadees yaad aane lagee waise hi Nazeer ke chehre se afsos zahir hone laga...
Ya Allah... main to ye sab janta tha tab bhi is par amal nahi kiyaa....! Isi liye mere daant kharaab hona shuru huve....
Phir socha ke Allah ka shukr hai.. DADDY mujhe sahi waqt pe - timely doctor ke paas le kar aaye.
Ab main inshaallah daily subah regular brush karungaa, raat ko bhi brush kar ke sounga, aur koshish karunga ke har Namaaz se pehle bhi miswaak karun inshaallah....
Nazeer soch men hi tha…. itni der me doctor ne Nazeer ke dady ko Nazeer ke liye kulli - gargling karne ki davaayee likh kar diya...
Aur doctor ne next patient ke liye bell press kiya tab Nazeer gehri soch se baahar aaya aur doctor ki cabin se bhi...!
Lekin ab uska iraada qavi tha, pakka tha ke maaN aur teacher ne bataayee huyee baat par amal karunga aur miswaak zarur karungaa aur daant meN ho rahe plaque ko badhne nahi dunga ....... inshaallah.....
Wassalaam
-------------------------------------------------------------
(1), (3), aadabe islami - vol-2
(2) man laa yazharul fakeeh vol-1

Add caption |

No comments:
Post a Comment